dil talabgar-e-naz-e-mah-wash hai lutf us ka agarche dilkash hai mujh sun kyun kar milega hairan hun shokh hai bewafa hai sarkash hai kya teri zulf kya tere abru har taraf sun mujhe kashakash hai tujh bin ai dagh-bakhsh-e-sina o dil chaman-e-lala dasht-e-atash hai ai 'wali' tajrabe sun paya hun shola-e-ah-e-shauq be-ghash hai