dil ye umid-war kis ka hai kya kahen intizar kis ka hai partaw-e-mehr mein khuda jaane ru-e-sad-shoala-bar kis ka hai meri aankhon ke samne yarab dida-e-ashk-bar kis ka hai khak-e-parwana le udi mahfil shama ko intizar kis ka hai aaj diwangi fuzun-tar hai ye gham-e-intizar kis ka hai