dilon mein aag labon par gulab rakhte hain

dilon mein aag labon par gulab rakhte hain
sab apne chehron pe dohri naqab rakhte hain

hamein charagh samajh kar bujha na paoge
hum apne ghar mein kai aaftab rakhte hain

bahut se log ki jo harf-ashna bhi nahin
isi mein khush hain ki teri kitab rakhte hain

ye mai-kada hai wo masjid hai wo hai but-khana
kahin bhi jao farishte hisab rakhte hain

hamare shahr ke manzar na dekh paenge
yahan ke log to aankhon mein khwab rakhte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close