din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke

din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke
raat aai jaane kaun sa gham odhna pade

ab jald aa milo ki darakhton ke sath sath
kitne janam guzar chuka hun khade khade

aksar isi khayal ne mayus kar diya
shayad tamam umr yun hi katni pade

pure hue hain phul se ek jism ke huzur
arman kuchh aise bhi jo labon tak na aa sake

lamhon ke tar khinchta rahta tha raat din
ek shakhs le gaya meri sadiyan samet ke

jine ka shauq le ade taron se dur dur
mazbut hath maut ka dariya mein phenk de

hum ko azab-e-dahr se milti nahin najat
tum bhi bahisht-e-jism ko virana kar chale


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close