din ke sine pe sham ka patthar ek patthar pe dusra patthar ye suna tha ki dewta hai wo mere haq hi mein kyun hua pathar daere bante aur mitte the jhil mein jab kabhi gira patthar ab to aabaad hai wahan basti ab kahan tere nam ka patthar ho gae manzilon ke sab rahi de raha hai kise sada patthar sare tare zamin pe gir jate zor se main jo phenkta patthar nam ne kaam kar dikhaya hai sab ne dekha hai tairta patthar tu use kya uthaega 'adil' 'mir' tak se na uth saka patthar