din ko na ghar se jaiye lagta hai Dar mujhe

din ko na ghar se jaiye lagta hai dar mujhe
is para-e-sahab ko suraj na dekh le

us hath ki mahak se mere hath shal hue
us qurb se mile mujhe sadiyon ke fasle

meri lawen bujha na sakin tez aandhiyan
jhonkon ki naram dhaar se kohsar kat gae

apni sada ko rok lo kya is se faeda
dhalwan par bhala kabhi patthar thahar sake

'hamid' ajab ada se kiya khun ne safar
palkon ko surkh kar gae panw ke aable


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close