din mein jo sath sab ke hansta tha raat-bhar wo akele rota tha bas wahi meri aakhiri shab thi chand jis raat mujh se rutha tha aakhiri umr tak rahegi yaad sath jis ke main raat bhiga tha aur to koi tha nahin shayad raat ko uth ke main hi chikha tha jo haqiqat khuli to ye jaana wo mohabbat nahin tamasha tha main bada sang-dil tha yaro jab dil banane ka mera pesha tha aur to sare khush the bas 'indar' ek bulbul udas baitha tha