diwane diwane thahre khel gae angaron se aabla-pai ab koi puchhe in zehni bimaron se baat to jab hai shole niklen barbat-e-dil ke taron se shor nahin naghme paida hon teghon ki jhankaron se kis ne basaya tha aur un ko kis ne yun barbaad kiya apne lahu ki bu aati hai in ujde bazaron se kaise gale milte hain gale se ab ke bahaaran bhul gae yaron ne bharpur galon ka kaam kiya talwaron se keh do mughanni se ab thahre khwab-awar naghme roke roke koi hamein lalkar raha hai parbat se minaron se shah ka rukh hai utra utra shah kya deta hai shatir haari bazi jit gae hum paidal se rah-waron se waqt ke tufani dhaaron mein kitne sahil dub gae nit nae sahil phir ubhre hain in tufani dhaaron se pal mein tola pal mein masha pal mein sab darham barham zarra-e-khaki nazren milae baithe hain sayyaron se patthar ka dil pani pani zindan ki tarikhon par aaj talak rah rah kar chikhen uthti hain diwaron se