diya jala ke koi chand par rakha hoga usi ke sae mein wo hum ko dhundhta hoga koi to zid mein ye aa kar kabhi kahe hum se ye baat yun nahin aise thi yun hua hoga tumhaara ghar sar-e-mahtab jo bana dale tumhaara beta nahin wo khuda raha hoga wo aankhen abr ki manind ro rahi hongi wo zina khwab mein mahtab par tika hoga ye kya zaruri hai aaankhon mein der tak rahna khayal aap hi taswir ban gaya hoga sunahre pinjre ki apni hi haisiyat hogi parinda khush hai magar khub chikhta hoga kaha hai ek nujumi ne tum miloge hamein zamin se chand talak ek rasta hoga khuda kare ki bahut jald tum ko dekh aaen tumhaare ghar mein ab ek phul khil utha hoga