do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad

do damon se hai faqat gor-e-ghariban aabaad
tum hamesha raho ai hasrat-o-arman aabaad

tujh se ai dard hai qasr-e-dil-e-viran aabaad
kiya sar-afraaz kiya khana-viran aabaad

jis jagah baith ke roe wo makan dub gae
shahar hone nahin dete tere giryan aabaad

qais-o-farhad ke dam se bhi ajab raunaq thi
kuchh dinon khub rahe koh-o-bayaban aabaad

wahshat-e-dil ye badhi chhod diye ghar sab ne
tum hue khana-nashin ho gain galiyan aabaad

aamad-e-qafila-e-dard-o-alam hai sad-shukr
aaj hoti hai sara-e-dil-e-viran aabaad

mit gae dagh-e-jigar husn-e-rukh-e-yar gaya
kal ki hai baat ki tha kya ye gulistan aabaad

tere diwanon ke jis dasht se utthe bistar
wahshiyon se na hua phir wo bayaban aabaad

surat-e-shama hua khak-e-badan jal jal kar
hum ne turbat bhi na ki ai shab-e-hijran aabaad

sohbaten ho gain barbaad gul-andamon ki
khak udti hai wahan the jo gulistan aabaad

sina o dil mein khushi se na jagah thi gham ki
ai 'tashshuq' ye makan bhi the kabhi han aabaad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close