dost ke shahr mein jab main pahuncha shahr ka manzar achchha tha

dost ke shahr mein jab main pahuncha shahr ka manzar achchha tha
lal-o-gohar se bhi us ki dahliz ka patthar achchha tha

barish dhup ki baat juda thi la-mahdud masafat mein
nange sar par jaisa bhi tha gumbad-e-be-dar achchha tha

kis lahje kin lafzon mein shahkar-e-azal ki baat karun
duniya bhar ke fan-paron se khak ka paikar achchha tha

chamak-damak ke makr se nikle karb ke bandhan tut gae
sham-e-judai ke mahtab se subh ka akhtar achchha tha

jaane kis lalach mein aa kar sar ka saya bech diya
meinh mein bhige yaad aaya tinkon ka chhappar achchha tha

palkon se har zakhm siya tha ek anjaane mohsin ne
sang-zanon ki nagri mein bhi koi rafu-gar achchha tha

'rasikh' sondhi mitti ki aiwanon mein mahkar kahan
rauzan rauzan jhank ke dekha kachcha hi ghar achchha tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close