dosti chah dili mehr-o-mohabbat guzri sidhe munh baat bhi karta nahin rut guzri ek misra jo padha wasf-e-qad-e-yar mein hum sarw ke sar pe gulistan mein qayamat guzri ham-nashin puchh na kuchh chup hi bhali hai us se shab-e-furqat mein jo kuchh hum pe saubat guzri subh ko nam kisi ne jo liya is ka yahan dil-e-mushtaq pe be-tarah ki haalat guzri aankh hum se jo milata nahin wo aaina-ru khaksaron se ye kya dil mein kudurat guzri kabhu ladta tha kabhu hans ke lipat jata tha kyun 'nisar' us se ajab raaton ki sohbat guzri