dudman-e-dard ki shadi hain hum khandan-e-gham ki aabaadi hain hum apni shumi se hui shadi ghami shayad aabaadi ki barbaadi hain hum apne aab-e-chashm se sarsabz hain zeb-e-dasht-o-zinat-e-wadi hain hum darmiyan-e-zindagi-o-marg hain qabil-e-said o na sayyaadi hain hum zakhm-ha-e-hijr mein kya kya sahe kushtagan-e-tegh-e-fauladi hain hum banda-e-pirem ya-rab az azab murid-e-altaf-e-azadi hain hum hum nahin kahte muqallid hain tere tere dar ke kalb-e-qilladi hain hum dad kar ai dad-gar ushshaq-kush tere aage tujh se fariyaadi hain hum khun-baha mashuq se lete nahin aashiq-e-insaf-e-be-dadi hain hum dukhtar-e-raz ko koi hum se kahe tere to haqdar damadi hain hum hum gunahgar-e-janab-e-ishq hain abd-e-ubbaadi na auradi hain hum ai azizan tark-e-ishq-e-husn mein sang par jun naqsh-e-bahzadi hain hum la-walad kahte hain hum ko la-walad sher se az-bas-ki auladi hain hum aaqibat khaki hain khaki honge ne aatishi-o-ahi-o-baadi hain hum fath-baghi ne nasar-puri hain balki sindh mein bhi haidrabaadi hain hum kya kahen kya the kahan se aae hain misl-e-mazmun-e-nau iradi hain hum phir bhi wo irad karne sakta hai jis ke awwal bar ijadi hain hum mast-e-ahmad se 'matam' hain shakar* ne sumudi qaum ne aadi hain hum