duniya apni maut jald-az-jald mar jaane ko hai ab ye dhancha aisa lagta hai bikhar jaane ko hai ain us dam neshtar le aati hain yaaden teri zakhm tanhai ka lagta hai ki bhar jaane ko hai jaane wale aur kuchh din sog karna hai tera zehn-o-dil se phir ye nashsha bhi utar jaane ko hai waqt-e-rukhsat bad-gumani teri aisa ghaw thi rafta rafta ab jo apna kaam kar jaane ko hai hum haqiqat-ashna logon se kam milte hain log un ko samjhao ye shiraaza bikhar jaane ko hai rut hua badlegi sab gul shakh par mar jaenge ab ye mausam khushbuon ka par katar jaane ko hai