duniya bhi ajab qafila-e-tishna-laban hai

duniya bhi ajab qafila-e-tishna-laban hai
har shakhs sarabon ke taaqub mein rawan hai

tanha teri mahfil mein nahin hun ki mere sath
ek lazzat-e-pabandi-e-izhaar-o-bayan hai

haq baat pe hai zahar bhare jam ki tazir
ai ghairat-e-iman lab-e-suqraat kahan hai

kheton mein samati nahin phuli hui sarson
baghon mein abhi tak wahi hangam-e-khizan hai

ehsas mera hijr-gazida hai azal se
kya mujh ko agar koi qarib-e-rag-e-jaan hai

jo dal ke samundar se ubharta hai yaqin hai
jo zehan ke sahil se guzarta hai guman hai

phulon pe ghataon ke to sae nahin 'anwar'
aawara-e-gulzar nasheman ka dhuan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close