duniya ka chalan tark kiya bhi nahin jata is jada-e-baatil se phira bhi nahin jata zindan-e-musibat se koi nikle to kyunkar ruswa sar-e-bazar hua bhi nahin jata dil baad-e-fana bhi hai giran-bar-e-amanat duniya se subuk-dosh utha bhi nahin jata kyun aane lage shahid-e-ismat sar-e-bazar kya khak ke parde mein chhupa bhi nahin jata ek mani-e-be-lafz hai andesha-e-farda jaise khat-e-qismat ki padha bhi nahin jata