duniya luTi to dur se takta hi rah gaya

duniya luti to dur se takta hi rah gaya
aankhon mein ghar ke khwab ka naqsha hi rah gaya

us ke badan ka loch tha dariya ki mauj mein
sahil se main bahaw ko takta hi rah gaya

duniya bahut qarib se uth kar chali gai
baitha main apne ghar mein akela hi rah gaya

wo apna aks bhul ke jaane laga to main
aawaz de ke us ko bulata hi rah gaya

hamrah us ke sari bahaaren chali gain
meri zaban pe phul ka charcha hi rah gaya

kuchh is ada se aa ke mila hum se 'ashk' wo
aankhon mein jazb ho ke sarapa hi rah gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close