duniya mein qasr-o-aiwan be-faeda banaya uqba inhen banai munim to kya banaya jo unsuri gharaunda pe chaukhata banaya ek dam mein wo bashar ka bigda bana banaya zulfon mein tair-e-jaan jis ne phansa banaya tan ko qafas ragon ko ek jal sa banaya soz-e-gham-o-alam se bah jaun shamma-san jo ai shoala-ru mujhe bhi kya mom ka banaya naqshe pe khinch saka jab mani se dil-jalon ka jis ja makan-e-dil tha aatish-kada banaya bahr-e-jahan mein jis dam pahunchi numud-e-insan pani ne sar utha ke ek bulbula banaya pahna kafan utara hasti ke pairahan ko phenka libas-e-kohna jama naya banaya khaliq ne jab kaha khalq abru ke bismilon ka gardan meri banai khanjar tera banaya chal kar saba ki surat khandan kiya gulon ko ghunchon ka munh bigada jab munh zara banaya shishagari pe nazan be-kar shisha-gar hain koi bhi dil kisi ka tuta hua banaya aahon ke kudkon ne chhalni kiya yahan tak saqf-e-falak ko chhatta zambur ka banaya shan-e-khuda ayan hai har but se mai-kade mein kabe mein tum ne ja kar ai 'shad' kya banaya