duniya mizaj-dan-o-mizaj-ashna na thi duniya ke pas zahar bahut tha dawa na thi raushan tha dil mein sirf kisi yaad ka charagh ghar mein koi bhi raushni us ke siwa na thi main tha wafa-sarisht mujhe thi wafa aziz wo tha bahana-ju use khu-e-baha na thi yun koi mere pas se ho kar guzar gaya jaise kabhi nazar se nazar aashna na thi be-wajh sangsar jo mujh ko kiya gaya wo thi ek intiqam ki surat saza na thi dil bhi kisi ke jaur pe tha dam-ba-khud 'zafar' lab par bhi ehtijaj ki koi sada na thi