duniya se har rishta toDa KHud se ru-gardani ki

duniya se har rishta toda khud se ru-gardani ki
sirf tumhaara dhyan rakha aur jine mein aasani ki

majnun aur farhad hue jab ishq mein sab barbaad hue
tab jangal ne kuch kiya sahra ne naql-e-makani ki

us ki mohni surat jaise phulon ka aameza hai
aur us ki aawaz hai goya re-ga-ma-pa-dhani ki

bhuli-bisri yaad ne jab daryaft kiya ahwal mera
dil ne zakhm kalam kiya aankhon ne ashk-bayani ki

ilm ka dam bharna chhodo bhi aur amal ko bhul bhi jao
aaina-khane mein ho sahib fikr karo hairani ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close