dur dur mujhse wo is tarah KHiraman hai

dur dur mujh se wo is tarah khiraman hai
har qadam hai naqsh-e-dil har nigah rag-e-jaan hai

ban gai hai masti mein dil ki baat hangama
qatra thi jo saghar mein lab tak aa ke tufan hai

hum to pa-e-jaan par kar bhi aae ek sajda
sochti rahi duniya kufr hai ki iman hai

mere shikwa-e-gham se aalam-e-nadamat mein
is lab-e-tabassum par shama si farozan hai

ye niyaz-e-gham-khwari ye shikast-e-dildari
bas nawazish-e-jaanan dil bahut pareshan hai

muntazir hain phir mere hadse zamane ke
phir mera junun teri bazm mein ghazal-khwan hai

fikr kya unhen jab tu sath hai asiron ke
ai gham-e-asiri tu khud shikast-e-zindan hai

apni apni himmat hai apna apna dil 'majruh'
zindagi bhi arzan hai maut bhi farawan hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close