dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha

dur tak bas ek dhundalka gard-e-tanhai ka tha
raston ko ranj meri aabla-pai ka tha

fasl-e-gul rukhsat hui to wahshaten bhi mit gain
hat gaya saya jo ek aaseb-e-sahrai ka tha

tod hi dala samundar ne tilism-e-khud-sari
zom kya kya sahilon ko apni pahnai ka tha

aur mubham ho gaya paiham mulaqaton ke sath
wo jo ek mauhum sa rishta shanasai ka tha

khak ban kar pattiyan mauj-e-hawa se ja milin
der se 'akbar' gulon par qarz purwai ka tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close