dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar

dur ufuq ke par se aawaz ke parwardigar
sadiyon soi khamushi ko samne aa kar pukar

jaane kin hathon ne khela raat sahil par shikar
sher ki aawaz ko tarsa kiye sune kachhaar

khwab ke sukhe hue khakon mein lazzat ka ghubar
nind ke dimak-zada gatte ke pichhe intizar

tirgi kaise mitegi teri nusrat ke baghair
aasman ki sidhiyon se nuqrai faujen utar

aakhir-e-shab sab sitare so rahe hain be-khabar
koi suraj ko khabar kar do ki ab shab-khun mar

phailta jata hai kirnon ka sunahri jal phir
jagmaga utthi hain shamshiren qatar-andar-qatar

jaane kis ko dhundne dakhil hua hai jism mein
haddiyon mein rasta karta hua pila bukhar

jism ki mitti na le jae baha kar sath mein
dil ki gahrai mein girta khwahishon ka aabshaar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close