dushman-e-jaan hai tishna-e-khun hai shokh hai bank hai nikat bhun hai tujh kun laila bhi dekh majnun hai dil-rubaon ka dil-ruba tun hai dil ke chhilne kun ye latak chalna sehr hai totka hai afsun hai khal-e-mushkin hai lal lab-ha par ya mai-e-surkh bich afyun hai aan hai dard ke zaifan par aah dil ki alif hai qad nun hai darguzar kar raqib sin ai dil be-haya hai rijala hai dun hai dard-e-sar ka ilaj kyun na kare yar ka rang sandali-gun hai shaikh khirqe mein jab muraqib ho gurba miskin hai meri jun hai gar wafadar-kush nahin wo shokh 'abru' sath dushmani kyun hai