dushman ko zad par aa jaane do dashna mil jaega zindanon ko tod nikalne ka rasta mil jaega shah-sawar ke kat jaane ka dukh to hamein bhi hai lekin tum parcham thame rakhna salar-e-sipah mil jaega hamein khabar thi shahr-e-panah par khadi sipah munafiq hai hamein yaqin tha naqab-zanon se ye dasta mil jaega soch-kaman salamat rakhni hogi tir-andaz bahut kaun hadaf hai aur kahan hai us ka pata mil jaega bas tum jabr ki choti sar karne ka ahd jawan rakhna us tak jaane wale raston ka naqsha mil jaega hasan-'raza' uth aur qadam aawaz-e-jaras par rakh warna shah ka sar lane tujh sa koi diwana mil jaega