ehsas-e-ziyan hum mein se akasr mein nahin tha

ehsas-e-ziyan hum mein se akasr mein nahin tha
is dukh ka mudawa kisi patthar mein nahin tha

wo shakhs to shab-khun mein mara gaya warna
us jaisa bahadur koi lashkar mein nahin tha

ab khak hua hun to ye ahwal khula hai
shoale ke siwa kuchh mere paikar mein nahin tha

ye waqia mera tha ki tha saneha mera
main apne hi ghar mein tha magar ghar mein nahin tha

har ishq ke manzar mein tha ek hijr ka manzar
ek wasl ka manzar kisi manzar mein nahin tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close