ehtiyat ai dil-e-nadan wo zamane na rahe

ehtiyat ai dil-e-nadan wo zamane na rahe
tere ushshaq tere chahne wale na rahe

jin se qaem thi teri shokh-nigahi ki ada
rang-e-mahfil wo junun-khez ishaare na rahe

ai gul-e-shokh-ada tujh ko khabar hai ki nahin
jo muhafiz the tere ab wahi kante na rahe

hum jinhen ham-safar-e-rah-e-wafa jaante the
kya bataen ki wahi log hamare na rahe

subh se sham talak barish-e-anwar rahi
raat aai to in aankhon mein sitare na rahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close