ejaz hai kisi ka ya gardish-e-zamana tuta hai asia mein sehr-e-firangiyana tamir-e-ashiyan se main ne ye raaz paya ahl-e-nawa ke haq mein bijli hai aashiyana ye bandagi khudai wo bandagi gadai ya banda-e-khuda ban ya banda-e-zamana ghafil na ho khudi se kar apni pasbani shayad kisi haram ka tu bhi hai aastana ai la ilah ke waris baqi nahin hai tujh mein guftar-e-dilbarana kirdar-e-qahirana teri nigah se dil sinon mein kanpte the khoya gaya hai tera jazb-e-qalandarana raaz-e-haram se shayad 'iqbaal' ba-khabar hai hain is ki guftugu ke andaz mahramana