ek bar jo bichhde wo dobara nahin milta mil jae koi shakhs to sara nahin milta us ki bhi nikal aati hai izhaar ki surat jis shakhs ko lafzon ka sahaara nahin milta phir dubna ye baat bahut soch lo pahle har lash ko dariya ka kinara nahin milta ye soch ke dil phir se hai aamada-e-ulfat har bar mohabbat mein khasara nahin milta kyun log bulaenge hamein bazm-e-sukhan mein apna to kisi se bhi sitara nahin milta wo shahr bhala kaise lage apna jahan par ek shakhs bhi dhunde se hamara nahin milta