ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile

ek bar mil ke phir na kabhi umr bhar mile
do ajnabi the hum jo sar-e-rah-guzar mile

kuchh manzilon ke khwab the kuchh raston ke dhul
nikle safar pe hum to yahi ham-safar mile

yun apni sarsari si mulaqat khud se thi
jaise kisi se koi sar-e-rah-guzar mile

ek shakhs kho gaya hai jo raste ki bhid mein
is ka pata chale to kuchh apni khabar mile

apne safar mein yun to akela hun main magar
saya sa ek rah ke har mod par mile

barson mein ghar hum aae to begana-war aaj
hum se khud apne ghar ke hi diwar-o-dar mile

'makhmur' hum bhi raqs karen mauj-e-gul ke sath
khul kar jo hum se mausam-e-diwana-gar mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close