ek bhaTke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin

ek bhatke hue lashkar ke siwa kuchh bhi nahin
zindagani meri thokar ke siwa kuchh bhi nahin

aap daman ko sitaron se sajae rakhiye
meri qismat mein to patthar ke siwa kuchh bhi nahin

tera daman to chhuda le gae duniya wale
ab mere hath mein saghar ke siwa kuchh bhi nahin

meri tuti hui kashti ka khuda hafiz hai
dur tak gahre samundar ke siwa kuchh bhi nahin

log bhopal ki tarif kiya karte hain
is nagar mein to tere ghar ke siwa kuchh bhi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close