ek din bhi to na apni raat nurani hui hum ko kya ai mah-jabin gar chand-peshani hui sard-mehri ka teri saqi natija ye hua aag ke molon jo bikti thi wo mai pani hui allah allah phut nikla rang chahat ka meri zahr khaya main ne poshak aap ki dhani hui hum ko ho sakta nahin dhoka hujum-e-hashr mein teri surat hai azal se jaani pahchani hui le udi ghungat ke andar se nigah-e-mast hosh aaj saqi ne pilai mai hamein chhani hui jaan kar dushman jo lipte jaan mein jaan aa gai barak-allah kis maze ki tum se nadani hui rafta rafta dida-e-tar ko duboya ashk ne pani riste riste kashti meri tufani hui kar gai diwangi hum ko bari har jurm se chaak-damani se apni pak-damani hui khun ki chadar mubarak ba-haya talwar ko myan se bahar nikal kar bhi na uryani hui raat ko chhup kar nikal jati hai aankhon se 'jalil' sair dekho nind bhi kam-bakht sailani hui