ek diya dahliz pe rakkha bhul gaya ghar ko laut ke aane wala bhul gaya ye kaisi be-ab zamin ka samna tha khud ko qatra qatre ko dariya bhul gaya main to tha maujud kitab ke lafzon mein wo hi shayad mujh ko padhna bhul gaya kis ke jism ki barish ne sairab kiya kyun udna mausam ka parinda bhul gaya aakhir ye hona tha aakhir yahi hua duniya mujh ko aur main duniya bhul gaya main bhi hun mansub kisi ke qatl se ab suraj meri chhat pe chamakna bhul gaya wafa ka khota sikka kab tak chalta 'tur' achchha hua jo apna paraya bhul gaya