ek ek lamhe ko palkon pe sajata hua ghar ras aata hai kise hijr manata hua ghar khwab ke khadshe se ab nind udi jati hai main ne dekha hai use chhod ke jata hua ghar gar zaban hoti to patthar hi batata sab ko kis qadar tuta hai wo khud ko banata hua ghar us ka ab zikr na kar chhod ke jaane wale tu ne dekha hi kahan ashk bahata hua ghar ab use yaad kahun yas kahun ya wahshat mujh ko aata hai nazar khak udata hua ghar thak gaya kya mere tulani safar se 'adil' so gaya sath mere mujh ko sulata hua ghar