ek faramosh kahani mein raha main jo us aankh ke pani mein raha rukh se udta hua wo rang-e-bahaar ek taswir purani mein raha main ki madum raha surat-e-khwab phir kisi yaad-dahani mein raha dhang ke ek thikane ke liye ghar-ka-ghar naql-e-makani mein raha main thaharta gaya rafta rafta aur ye dil apni rawani mein raha wo mera naqsh-e-kaf-e-pa-e-talab ahd-e-rafta ki nishani mein raha main ki hagama-e-yak-khwab liye koi din aalam-e-fani mein raha