ek ghazal us pe likhun dil ka taqaza hai bahut in dinon khud se bichhad jaane ka dhadka hai bahut raat ho din ho ki ghaflat ho ki bedari ho us ko dekha to nahin hai use socha hai bahut tishnagi ke bhi maqamat hain kya kya yani kabhi dariya nahin kafi kabhi qatra hai bahut mere hathon ki lakiron ke izafe hain gawah main ne patthar ki tarah khud ko tarasha hai bahut koi aaya hai zarur aur yahan thahra bhi hai ghar ki dahliz pe ai 'nur' ujala hai bahut