ek guman ka haal hai aur faqat guman mein hai

ek guman ka haal hai aur faqat guman mein hai
kis ne azab-e-jaan saha kaun azab-e-jaan mein hai

lamha-ba-lamha dam-ba-dam aan-ba-an ram-ba-ram
main bhi guzishtagan mein hun tu bhi guzishtagan mein hai

aadam-o-zat-o-kibriya karb mein hain juda juda
kya kahun un ka majra jo bhi hai imtihan mein hai

shakh se ud gaya parind hai dil-e-sham-e-dard-mand
sahn mein hai malal sa huzn sa aasman mein hai

khud mein bhi be-aman hun main tujh mein bhi be-aman hun main
kaun sahega us ka gham wo jo meri aman mein hai

kaisa hisab kya hisab haalat-e-haal hai azab
zakhm nafas nafas mein hai zahr zaman zaman mein hai

us ka firaq bhi ziyan us ka visal bhi ziyan
ek ajib kashmakash halqa-e-be-dilan mein hai

bud-o-nabud ka hisab main nahin jaanta magar
sare wajud ki nahin mere adam ki han mein hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close