ek hath duaon ka asar kaT raha hai

ek hath duaon ka asar kat raha hai
hai chhanw mein jis ki wo shajar kat raha hai

kata tha kabhi main ne safar ek anokha
ek umr se ab mujh ko safar kat raha hai

tum darte ho aa jae na basti mein darinda
mujh ko to koi aur hi dar kat raha hai

phaila hai bahut dur talak mujh mein bayaban
dasta hai daricha mujhe dar kat raha hai

is shahr mein ras aati nahin aaina-sazi
lije wo mera dast-e-hunar kat raha hai

ho jae kahin qad mein na kal is ke barabar
is khauf se wo bhai ka sar kat raha hai

har ek se aati hai bisand apni gharaz ki
dil kis ke rawayye ka samar kat raha hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close