ek hi naqsh hai jitna bhi jahan rah jae aag udti phire har-su ki dhuan rah jae kuchh gharaz is se nahin rizq-e-gada ho ki na ho kucha-o-rah mein aawaz-e-sagan rah jae ye safar wo hai ki itna bhi ghanimat hai agar apne ham-rah yahi khak rawan rah jae aur kuchh roz ruke sust lahu ka mausam aur kuchh der yahi rang-e-khizan rah jae aaj kal us ki tarah hum bhi hain khali khali ek do din use kahiyo ki yahan rah jae kuchh to rah jae tag-o-taz talab mein baqi wahm apna rahe ya us ka guman rah jae wo tamanna hun ki dil se na guzar ho jis ka wo tamasha hun ki nazron se nihan rah jae ye bhi ek marhala-e-sakht hai ai sahab-e-tarz ki bayan ki jagah andaz-e-bayan rah jae nam to phir bhi badi baat hai duniya mein 'zafar' ye bhi kya kam hai jo kuchh apna nishan rah jae