ek ek kar ke ho gae rukhsat ab koi arman nahin dil mein gahra sannata hai ab koi mehman nahin tum ne bhi sun rakkha hoga hum bhi sunte aae hain jis ke dil mein dard na ho wo patthar hai insan nahin dard kada ho to bhi aksar patthar ban jate hain log marne ki ummid nahin hai jine ka saman nahin kuchh mat bolo chup ho jao baaton mein kya rakkha hai kyun karte ho aisi baaten jin baaton mein jaan nahin auron jaisi baaten mujh ko bhi karni padti hain roz ye to meri majburi hai ye meri pahchan nahin meri baaten sidhi sachchi un mein koi pech nahin in ko 'mir' ki ghazlen jaano 'ghaalib' ka diwan nahin dil ko bahlane ki khatir hum bhi kya kya karte hain khub samajhta hai wo bhi sab aisa bhi nadan nahin raat gae aksar yun hi kyun phut phut kar rote ho khak tale sone walon se milne ka imkan nahin wo tha mere dukh ka sathi aur tumhein kya batlaen us ka mera jo rishta tha us rishte ka nam nahin wo hota to phir bhi shayad dard pe kuchh qabu rahta tanhai se tanha ladna kuchh aisa aasan nahin