ek jalwa ba-sad andaz-e-nazar dekh liya tujh ko hi dekha kiye tujh ko agar dekh liya jaise sar phod ke mil jaegi zindan se najat kya junun ne koi diwar mein dar dekh liya baz hai aaj talak dida-e-hairan ki tarah dasht-e-wahshat ne kise khak-basar dekh liya jurm-e-nazzara ki pata hai saza dil ab tak ahl-e-dil dekh liya ahl-e-nazar dekh liya surat-e-naqsh-e-qadam dida-e-mushtaq hain hum jab bhi wo aaya sar-e-rahguzar dekh liya yahi hasrat hai ki wo ek nazar dekh to le aur us ne kabhi is samt agar dekh liya kahin parda hai tajalli kahin jalwa hai hijab ye tamasha bhi tera zauq-e-nazar dekh liya roz ek taza gham-e-dahr hai nazil 'tabish' ek tufan-e-bala ne mera ghar dekh liya
This is a great manzil shayari two lines. Please share if you liked this!!!