ek jalwe ki hawas wo dam-e-rehlat bhi nahin kuchh mohabbat nahin zalim to murawwat bhi nahin us ke kuche mein kahan kashmakash bim-o-raja khauf-e-dozakh bhi nahin khwahish-e-jannat bhi nahin zauq-e-masti ki mazammat na kar itni ai shaikh kya tujhe nashsha-e-zauq-e-mai-e-ulfat bhi nahin be-niyazi bhi utha lun main tere naz ki tarah kya wo taqat na rahi mujh mein to himmat bhi nahin kis tarah kahiye ki didar dikhaya us ne bagh-e-jannat bhi nahin roz-e-qayamat bhi nahin zohd-o-taqwa o islah-e-dar-husn-e-amal kuchh nahin mujh mein magar kya teri rahmat bhi nahin jazb-e-kaamil se use khinch lo ai hazrat-e-dil kaise darwesh ho kuchh tum mein karamat bhi nahin kabhi 'asi' se ham-aghosh na dekha tujh ko asar-e-jazba-e-dil ahl-e-mohabbat bhi nahin