ek KHalq jo har samt se aai tere dar par

ek khalq jo har samt se aai tere dar par
aaya nazar-andaz khudai tere dar par

thi jis ki tamanna dil-e-mushtaq ko har dam
wo chiz agar pai to pai tere dar par

ushshaq ke aage na lada ghairon se aankhen
dar hai ki na ho jae ladai tere dar par

dekhi jo yahan aa ke jhadi abr-e-karam ki
sab dil ki lagi hum ne bujhai tere dar par

is nafas hi kam-bakht ne roka tha 'sharaf' ko
dushwar na thi warna rasai tere dar par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close