ek lafz-e-mohabbat ke bane lakh fasane

ek lafz-e-mohabbat ke bane lakh fasane
tohmat ke bahane kabhi shohrat ke bahane

kis ko ye khabar thi ki bikhar jaenge pal mein
aankhon ne saja rakkhe the jo khwab suhane

ek zakhm-e-judai hai ki nasur bana hai
karta hun tujhe yaad isi gham ke bahane

aqdar ka fuqdan hawasnaki-o-wahshat
sab parde hata rakkhe hain ab sharm-o-haya ne

furqat ki shab-e-karb ke jate hue lamho
kab laut ke aaoge mujhe phir se rulane

bhane lagi jab dil ko zara bazm ki raunaq
tanhai meri aa gai phir mujh ko manane

wo gul hun jo thahraya gaya tang-e-bahaaran
pamal kiya khud hi jise baad-e-saba ne

shakir hun main har haal mein raazi-ba-raza hun
taskin ki daulat mujhe bakhshi hai khuda ne

aazar-e-gham-e-dil ko na hona tha shifayab
kuchh kaam kiya 'chand' dawa ne na dua ne


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close