ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya

ek nazuk dil ke andar hashr barpa kar diya
hae hum ne kyun ye izhaar-e-tamanna kar diya

ab nahin hai khushk aankhon mein siwa wahshat ke kuchh
intiha-e-gham ne kya dariya ko sahra kar diya

un ke dar ko chhod kar dar dar bhatakte hum rahe
wahshat-e-dil ne ajab anjam ulta kar diya

waswase ummid ke dam se jo the sab mit gae
intiha-e-dard ne gham ka mudawa kar diya

lab pe luknat aankhon mein wahshat hai chehra zard hai
ishtiyaq-e-hur ne zahid ko kaisa kar diya

go nahin ummid us se thi inayat ki magar
ye tha farz-e-ashiqi hum ne taqaza kar diya

ek nizaa-e-mustaqil rahti hai aql-o-shauq mein
tark-e-ulfat ne to ab dushwar jina kar diya

dil to tha ek qatra-e-khun kya haqiqat us ki thi
tere gham ne qulzum-e-zakhkhar jaisa kar diya

iftira-o-makr se shayad tujhe milta waqar
haq-parasti ne tujhe ai 'kaif' ruswa kar diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close