ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin

ek paikar hai ki imsal mein aata hi nahin
jaise aaina khad-o-khal mein aata hi nahin

aasman ka ye qafas qaid kare bhi kaise
dil wo panchhi ki par-o-baal mein aata hi nahin

hum jise dekhte hain us ke alawa bhi hai
ek zamana jo mah-o-sal mein aata hi nahin

apne rahne ko bhi kiya shahr mila hai jis ka
haal ye hai ki kisi haal mein aata hi nahin

manta kab hai kisi sud-o-ziyan ko ye dil
aisa wahshi hai kisi chaal mein aata hi nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close