ek pauda jo uga hai use pani dena

ek pauda jo uga hai use pani dena
apne aangan ko nai rut ki kahani dena

teri aawaz se jab tute mere ghar ka sukut
dar-o-diwar ko bhi sehr-bayani dena

ponchh lena meri palkon se lahu ki bunden
meri aankhon ko agar manzar-e-sani dena

kashtiyan dena magar izn-e-safar se pahle
thahre pani ko bhi dariya ki rawani dena

yun jalun main ki na sharminda rahun suraj se
aur kuchh aur mujhe sokhta-jaani dena

ret par naqsh-e-kaf-e-pa nahin rahne pate
ahl-e-sahra ko koi aur nishani dena


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close