ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha

ek qadam tegh pe aur ek sharar par rakkha
meri wahshat ne mujhe raqs-e-digar par rakkha

mere malik ne tujhe aaina-dari de kar
nigaran tujh ko mere husn-e-nazar par rakkha

la-talluq nazar aata tha ba-zahir lekin
shahr ko us ne meri khair-khabar par rakkha

zindagi tu ne qadam mod diye aur taraf
aur andar se mujhe aur safar par rakkha

ahl-e-wahshat ko magar kaun batata ja kar
ho gaya naf-e-ghazalin koi ghar par rakkha

konplen phut padin dast-e-dua se mere
dam-e-amin jo mein dida-e-tar par rakkha

khatm hoti hi nahin girya-o-zari un ki
mir ne hath to har lafz ke sar par rakkha

main ne is dar se use tod liya hai 'tabish'
sukh jae na kahin shakh-e-shajar par rakkha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close