ek qatra na kahin KHun ka baha mere baad

ek qatra na kahin khun ka baha mere baad
zang-alud hui tegh-e-jafa mere baad

kyun har ek mod pe hota hai ghutan ka ehsas
tang kyun hone lagi meri faza mere baad

dekhte dekhte hi mand pade shams-o-qamar
khud se bezar hue subh-o-masa mere baad

har taraf zardi-e-rukhsar nazar aati hai
kahin raushan na mila rang-e-hina mere baad

ruk gaya qafila-e-umr-e-subuk-rau shayad
dekh khamosh hai aawaz-e-dara mere baad

zindagi bhar na kiya yaad kisi ne aur ab
puchhte hain wo mere ghar ka pata mere baad

umr bhar us ko sambhaale hue rakkha main ne
gir na jae kahin diwar-e-ana mere baad

ab bhi kya is mein hai aabaad syahi 'hamdam'
mere virane ka kya haal hua mere baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close