ek sahra hai meri aankh mein hairani ka

ek sahra hai meri aankh mein hairani ka
mere andar to magar shor hai tughyani ka

koi darwesh-e-khuda-mast abhi shahr mein hai
naqsh baqi hai abhi dasht ki virani ka

sans roke hai khadi dar se tere dur hawa
khak-e-dil ye hai sabab teri pareshani ka

hum faqiron ka tawakkul hi to sarmaya hai
shikwa kis munh se karen be-sar-o-samani ka

dil ke bazar mein halchal si macha di us ne
mujh ko bhi dhoka hua yusuf-e-la-sani ka

dekhta hun main abhi khwab usi ke shab o roz
ye khulasa hai mere qissa-e-tulani ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close